Friday, July 25, 2008

Chalo aik baar phir say ajnabi bun jain hum dono
Naa main tum say koi umeed rakhoun dil nawazi ki

Naa tum meri taraf dekho gult andaaz nazron say
Naa meray dil ki dhadkan larkharaye meri baaton say

Naa zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron say
Tumhay bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi say

Mujhay bhi log khetain hain k yeh jalway praye hain
Meray humrah bhi ruswaiyaan hain meray maazi ki

Tumhary saath bhi guzri hoi raaton k saaye hain
Taruf rog bun jaye to is ka bhoolna behtar

Tualuq bojh bun jaye to is ka torna acha
Who afsaana jisay anjaam tak laana na mumkin ho

Usay aik khoubsourat mor day ker chorna acha
Chalo aik baar phir say ajnabi bun jain

No comments:

Post a Comment

Posts of your interest