Wednesday, January 21, 2009

Last Call ( Wasi Shah )

Last Call

 

Kal hamesha ki tarha uss ney kaha ye fone par

Mein buhut masroof hoon mujh ko buhut sey kaam hain

 

Iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi

Har riwayat torh kar iss baar mein ney keh diya

 

Tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon

Tum jo ho mash'hoor tou mein bhi buhut maroof hoo

 

Tum agar ghamgeen hoo mein bhi buhut ranjoor hoo

Tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon

 

Jan-e-man hai waqt mera bhi buhut hi qeemti

Kuch puraney dostoon ney milney ana hai abhi

 

Mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain

Warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain

 

Meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey

Rat'jagon key baad ab neendon mein khona hai mujhey

 

Mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi

Tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi

 

Uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya

Aur phir apni ana key paaon pey sar rakh diya.

2 comments:

  1. i luv this poem and also luv wasi shah thanx uploader

    ReplyDelete
  2. the best poem and so close to reality,luv this

    ReplyDelete

Posts of your interest